chupa chupa ke mohabbat jatayi jati hai
kuch is tarah bhi wafa aazmayi jati hai
wo dar rahe hain zara aage badh rahe hain zara
main jaanta hu ke manzil ab aayi jati hai
har ek pal jo unke naam kar diya maine
ye zindagi isi tarha lutayi jati hai
qayamato pe qayamat wo dha rahe hain khuda
jhuka jhuka ke nazar phir uthai jati hai
adalat-e dil me ye ishq ka mukadma hai
suno arif tumhe saza sunayi jati hai
